Urdu Facts Hindi Information About Everything

Saturday, 31 March 2018

Cheese Benefits In Urdu Paneer Ke Faide Hindi Paneer Ka Istemal

March 31, 2018
Cheese Benefits In Urdu Paneer Ke Faide Hindi - Low fat paneer ke 12 fawaid - In dinon low fate paneer ke fawaid ke barey mein kaafi baat ki jati hai. Dahi aur paneer dono hi doodh se tayyar kiye jatay hain lekin dahi ki tayari ke douran usko pani ke sath hi tayyar kar liya jata hai, jabkay paneer tayyar karne ke liye doodh mein se sara pani nikaal liya jata hai. Doodh se tayyar honay ki wajah is mein protein ki achi khasi miqdaar us ko sahet ke liye nihayat mufeed bana deti hai. Taraqi pazeer mumalik ne paneer ki mukhtalif iqsam tayar kar li hain maslan chiknai, kam chiknai aur bina chiknai ke paneer. Low fat paneer ke kya fawaid hotay hain ayen jantay hain.

Low Fat Cheese Ke Fawaid

  • Mazboot hadion aur danoton ki mazbooti ke liye low fat paneer aik behtareen ghiza hai.
  • Calcium, protein, magnesium ki wafar miqdaar asab aur azlat ko taaqatwar banata hai.
  • Low fat paneer pathon aur jism ke hassas joron ke liye bohat zurori ghiza hai.
  • Jismani kamzoree ko daur rakh ke burhapay ke amal ko sust karta hai.
  • Paneer chahay kam chiknai wala hi kyun nah ho is se wazan badhaane mein madad milti hai is liye paneer ko bachon ki ghzaon mein shaamil karen.
  • Amlay takhmeer se tayyar kardah paneer cancer ya sartan se mehfooz rakhta hai.
  • Low fat paneer ka aadha chitank rozana istemaal toleedi o jinsi nizaam ko taaqatwar banata hai.
  • Low fat paneer blood pressure ko aitdaal mein rakhta hai lekin amraaz qalb ke mareez uskay istemaal se pehlay apne mualij se mahswara lazmi karen.
  • Low fat paneer ka istemaal jigar ko mazboot banata hai.
  • Bachon mein qad badhaane ke liye uska istemaal kaar amad saabit hota hai.
  • Doodh se doori jism ke difai nizaam ko kamzor kar deti hai usko doodh ke mutabadil istemaal kar ke jism doodh ki kami ko poora kiya ja sakta hai.
  • Paneer aap ko jigar ke mukhtalif amraaz se mehfooz rakhta hai aur hamain yaqeen hai aap jo paneer ke fayde pasand aye hon ge.

Thursday, 29 March 2018

Water Essay Urdu Pani Essay Hindi Pani Ki Ahmiyat Speech

March 29, 2018
Water Essay Urdu Pani Essay Hindi Pani Ki Ahmiyat Speech - Allah ki har Nemat kisi nah kisi terhan karishmati hai. kaayenaat ?me har aik shai apni khususiyaat aur ahmiyat mein kamalaat ellahi zahir karta hai. 

Duniya mein har cheez ki ikai madah hai, madah ki teen soorten hain gas maya fees aur thos pani qudrat ka aisa madah hai jawan tenu halaton mein paya jata hai barray barray glacier ho ya samandar ya phir aasmaa se garajte baraste baadal sab pani ki allag allag shakalain hain kehte hain duniya ka do tahai hissa pani par mushtamil hai lekin duniya mean sab se bara masla bhi pani hai. Hamaray mulk mein agar dekhain tou samandar ke kinare waqay honay ke bawajod Karachi ke awam ke liye sab se bara masla peenay ke liye saaf pani hai.

Pani mahol ki khubsurati badhaane ke liye aik ahem juz hai. Glacier pighaltay aur buland o bala pahoron se guzarta hai to yeh pani kabhi shore machate darya ban jatay hain aur kahin yeh buland o bala pahar se girta hai to dekhnay wala heran reh jata hai jab yeh khobsorat aabshaar ka roop dhaar laita hai qudrat ke yeh haseen nemat jab zair zameen se nikalta hai to usay chashma kaha jata hai jo ke itna saaf hota hai uskay agay sheesha ki koi qeemat nahi reh jati, is nemat ke bohat se faiday hain kaasht kaari, janglaat lagana ho, saaf suthra aur khas kar aaj kal ke daur mein bijli peda karna ho to yeh nemat hi kaam aata hai. Agar pani ka durust istemaal kiya jaye to yakeeni tor par yeh insani zindagi ko aasaan bana deta hai jahan pani ke bairooni fawaid hai wahan jandaroon ke jism ke andar bhi uska bara ahem kirdaar hai. Kehte hain insani jism ka 60 se 70 feesad pani hi hota hai.

Aik normal shakhs ko din mein 2 se 3 liter pani istemaal karna chahiye is se andaza hota hai ke pani ki jism ke andar bhi kitni ahmiyat hai mukhtalif bemariyan jin mein khaas kar jildi bemariyan jo ke bara khatarnaak hoti hain woh pani ke kam istemaal ki wajah se hoti hain.

Pani ke barhtay hue masail ko dekh kar mubasireen ka kehna hai ke ab agar aalmi jung hoi tou woh pani par ho gi. Hamari hukoomat ko bhi chahiye ke pani ko zakheera karne ke liye koi thos iqdamaat karne. Zayada se zayada dam bananay ki zaroorat hai chunkay Pakistan aik zarayi mulk hai aur mulk ka dar-o-madar zaraat par hi hai. Agar hum ne bar waqat faisla na kiya to hamein anay walay waqt mein qeht saali ka saamna karna par sakta hai.

Sugarcane Benefits In Urdu Ganne Ke Fayde In Hindi

March 29, 2018
Sugarcane Benefits In Urdu Ganne Ke Fayde In Hindi - Gana duniya ki sab se ziyada ugai jaany wali fasal hai aur jin mumalik mein is ki kaasht ziyada ki jati hai, un mein Pakistan bhi shaamil hai. hamhare malik mein gannay ki kaasht January aur feb mein hoti hai. is ke poday ki oonchai 6 se 12 foot tak aur taqreeban har aadha foot par ganthain bani hoti hain, jab ke fasal ki tayari mein poora saal lag jata hai. tahaqeeq ke mutabiq gannay aur is ke ras ke be shumaar fawaid hain. jin mein se chand mandarja zail hain.

Gannay Ke Fawaid Kya Hain Health Ke Liye
  • Gannay ke ras mein protein, carbohydrates calcium phosphorus ki waafar miqdaar shaamil hoti hai jo ke insani jism ko androoni tor par mazboot banati hain. 
  • Gannay ka ras dil ke amraaz se mehfooz rakhta hai aur cholesterol ki satah bherne nahi deta, jab ke gurdon aur jigar ke liye bhi faida mand hai.
  • Gana qudrati tor par jigar aur gurday ki safai karkay un ke af-aal ki istedad barha dehta hai.
  • Gannay ke ras ke istemaal se pishaab ki bandish aur jalan khatam hojati hai.
  • Shehad mein gannay ka ras mila kar peenay se qay ruk jati hai aur aanar ke sath mila kar peenay se khooni dast ruk jatay hain.
  • Gannay mein calories ki zayed miqdaar payi jati hai jo tawanai mein izafah ka mojab banti hai.
  • Gur bhi gannay se bantaa hai jo ke pait ko saaf rakhnay, balgham, khansi dammey aur seenay ke dard mein bhi faiday mand hota hai.
  • Woh bachay jin ki haddiyan kamzor hai, ya phir danoton ke naqais ka shikaar hain un ke liye bhi gur ka istemaal nihayat faiday mand hai.