Sugarcane Benefits In Urdu Ganne Ke Fayde In Hindi - Gana duniya ki sab se ziyada ugai jaany wali fasal hai aur jin mumalik mein is ki kaasht ziyada ki jati hai, un mein Pakistan bhi shaamil hai. hamhare malik mein gannay ki kaasht January aur feb mein hoti hai. is ke poday ki oonchai 6 se 12 foot tak aur taqreeban har aadha foot par ganthain bani hoti hain, jab ke fasal ki tayari mein poora saal lag jata hai. tahaqeeq ke mutabiq gannay aur is ke ras ke be shumaar fawaid hain. jin mein se chand mandarja zail hain.
Gannay Ke Fawaid Kya Hain Health Ke Liye
- Gannay ke ras mein protein, carbohydrates calcium phosphorus ki waafar miqdaar shaamil hoti hai jo ke insani jism ko androoni tor par mazboot banati hain.
- Gannay ka ras dil ke amraaz se mehfooz rakhta hai aur cholesterol ki satah bherne nahi deta, jab ke gurdon aur jigar ke liye bhi faida mand hai.
- Gana qudrati tor par jigar aur gurday ki safai karkay un ke af-aal ki istedad barha dehta hai.
- Gannay ke ras ke istemaal se pishaab ki bandish aur jalan khatam hojati hai.
- Shehad mein gannay ka ras mila kar peenay se qay ruk jati hai aur aanar ke sath mila kar peenay se khooni dast ruk jatay hain.
- Gannay mein calories ki zayed miqdaar payi jati hai jo tawanai mein izafah ka mojab banti hai.
- Gur bhi gannay se bantaa hai jo ke pait ko saaf rakhnay, balgham, khansi dammey aur seenay ke dard mein bhi faiday mand hota hai.
- Woh bachay jin ki haddiyan kamzor hai, ya phir danoton ke naqais ka shikaar hain un ke liye bhi gur ka istemaal nihayat faiday mand hai.
No comments:
Post a Comment