Thursday, 29 March 2018

Water Essay Urdu Pani Essay Hindi Pani Ki Ahmiyat Speech

Water Essay Urdu Pani Essay Hindi Pani Ki Ahmiyat Speech - Allah ki har Nemat kisi nah kisi terhan karishmati hai. kaayenaat ?me har aik shai apni khususiyaat aur ahmiyat mein kamalaat ellahi zahir karta hai. 

Duniya mein har cheez ki ikai madah hai, madah ki teen soorten hain gas maya fees aur thos pani qudrat ka aisa madah hai jawan tenu halaton mein paya jata hai barray barray glacier ho ya samandar ya phir aasmaa se garajte baraste baadal sab pani ki allag allag shakalain hain kehte hain duniya ka do tahai hissa pani par mushtamil hai lekin duniya mean sab se bara masla bhi pani hai. Hamaray mulk mein agar dekhain tou samandar ke kinare waqay honay ke bawajod Karachi ke awam ke liye sab se bara masla peenay ke liye saaf pani hai.

Pani mahol ki khubsurati badhaane ke liye aik ahem juz hai. Glacier pighaltay aur buland o bala pahoron se guzarta hai to yeh pani kabhi shore machate darya ban jatay hain aur kahin yeh buland o bala pahar se girta hai to dekhnay wala heran reh jata hai jab yeh khobsorat aabshaar ka roop dhaar laita hai qudrat ke yeh haseen nemat jab zair zameen se nikalta hai to usay chashma kaha jata hai jo ke itna saaf hota hai uskay agay sheesha ki koi qeemat nahi reh jati, is nemat ke bohat se faiday hain kaasht kaari, janglaat lagana ho, saaf suthra aur khas kar aaj kal ke daur mein bijli peda karna ho to yeh nemat hi kaam aata hai. Agar pani ka durust istemaal kiya jaye to yakeeni tor par yeh insani zindagi ko aasaan bana deta hai jahan pani ke bairooni fawaid hai wahan jandaroon ke jism ke andar bhi uska bara ahem kirdaar hai. Kehte hain insani jism ka 60 se 70 feesad pani hi hota hai.

Aik normal shakhs ko din mein 2 se 3 liter pani istemaal karna chahiye is se andaza hota hai ke pani ki jism ke andar bhi kitni ahmiyat hai mukhtalif bemariyan jin mein khaas kar jildi bemariyan jo ke bara khatarnaak hoti hain woh pani ke kam istemaal ki wajah se hoti hain.

Pani ke barhtay hue masail ko dekh kar mubasireen ka kehna hai ke ab agar aalmi jung hoi tou woh pani par ho gi. Hamari hukoomat ko bhi chahiye ke pani ko zakheera karne ke liye koi thos iqdamaat karne. Zayada se zayada dam bananay ki zaroorat hai chunkay Pakistan aik zarayi mulk hai aur mulk ka dar-o-madar zaraat par hi hai. Agar hum ne bar waqat faisla na kiya to hamein anay walay waqt mein qeht saali ka saamna karna par sakta hai.

2 comments:

  1. It was very nice essay i think that that who write this essay was very genius and have a wonderful mind

    ReplyDelete
  2. Jordan's Casino: The Ultimate Guide to Playing for Real
    Discover Jordan's Casino: The Ultimate make air jordan 18 retro yellow Guide to Playing for air jordan 18 retro yellow suede sale Real in a room in this air jordan 18 retro men red online top-rated room. The air jordan 18 retro racer blue great site King room where to find air jordan 18 retro red has a large marble bathroom

    ReplyDelete